Kaise bataye ki kya hoti hai ye jindagi?
Shama aur Patange ki takrar me
Barish ki pehli bund ka girna
aur tera yun muskurana , wo lamha ,wohi hai jindagi !
Shama aur Patange ki takrar me
Sagar ko Chand pe roz marta hua dekh Chand se kuchh chahat si ho jana
par Chand to Chandani ka hi hona, wohi hai jindagi !
Pagal Pawan ke bharose Kashti ko chhod dena
aur Khud ko bich samandar pana, wohi hai jindagi !
Raat k sannate me, Dard ki aahate sunate huye bhi,
Taaron ki dori se khushi ke sapne bunana, wohi hai jindagi !